google-site-verification=ThKpPjR5hAeMioc7U1QBiXUw-YYthPgkjQ5Ig3h-nmM

Pages

Sunday, March 22, 2020

Conventional Sign Banane ki vidhi

Friends, maine yah ek new blog start kiya hu jaha par mai mai reading se sambandhit jo post hai ya mere dwara banaye gaye youtube video ki jankari yaha pe share karuga.usi series me mera ys pahla video hai jaha pe mane map reading se sambandhit nimn subject ke upar detail se jankari share kiya hu. agar video pasand aaye to mere channel of subscribe kare.

is new video me hm conventional sign ke bare me jankari prapt karege.

Jaise ki conventional sign ki jarurat kya:

Introduction:Map kisi jameeni ilake ka chhote rup me chitran to hota hai prantu map me itni jagah nahi hota hai ki jameen ki sabhi aakritio ke  hubahu chitr banakar uske nam likh diye jaaye Islie jameen ki aakritio ko map par dikhane ke lie kuch nishchit chinho ka prayog kiya jata hai  , jinki madd se chhoti shaklo me jamini aakritio ko map par dikhya jata hai 

1.Conventional Sign ka paribhasha: Survey of India dwara nischit kiye gaye un nishano ko convenstional sign ya rudhi chinh kahte hai jinki madad se kudrati ya banawati aakritio ko map pe dikhaya jata hai .
2.Type of convention sign
(i) Survey Sign : survey department dwara nishchit kiye gaye   un nishano ko survey sign kahte hai jinki dwara jamin ke   kudrati ya banawati nishan map pe dikhaye jate hai
(ii) Military Symbol : sena mukhyalay dwara nishchit  kiye   gaye un nishano ko military symbol kahte hai jinke dwara   sena sambandhit suchnaye map par dikhai jati hai. Ye gopniy   hoti hai.
Method of making conventional sign.

iaakriti Banake
i.Pade rukh me :pade rukh me conventional sign usi rup me banaye jate hai jis rup me wah uchai se dikhai dete hai !jin jamini nishano ko pade rukh me banaye jate hai we hai : Road, railway line, river, canal, jheel, city, village yad
ii.Khade rukh: is vidhi me conventional signs aise rup me banaye jate hai jis rup me jameni nishan samne se dikhai dete hai . Jin jamini nishano ko khade rukh me banate hai we hai : church, tomb, idgah, temple, pagoda mosque.
iii.Samany rukh:sadharn rup me conventional signsaisi sakhl me banaye jate hai jisse un nishano ka bhaw prakat hota hai jaise do tslwar se ladai ke maidan! Jin jameni nishan ko is vidhi se dikhaye jate hai we is prakar se hai : katai, bharai, embarkment, surang .
ii.Diagrams bana ke : is vidhi se un jamini nishano ko signs banaye jate hai jinki aakriti aur banawat ek jaisi hoti hai. Kuchh jamini nishan ki aakritiya banakar unke sath sath nam likh dete hai jaise – chimni, khan dwar, yadgar! Kuchh conventional signs english ke capital letter se dikhaye jate hai jaise PO(post office), RH(Rest House),PS(Police station)DB(Dak Bunglow)IB(Inspection bunglow) etc.
iii.By using color:kuchh jamini nishan rang bhar ke dikhai jate hai ! Rango ka prayog is prakar se kiya jata hai jisse ki us nishan ka bhaw ya matlab pta lag sake jaise pani ko nile rang, kheti ko pile rang, pahadi ko ko bhure jangle ko hare rang hospital ke lal cross khali kuwe ko kewal circle aur pani se bhare kuwe ko circle ke andar blue rang bhar kar dikhate hai !4. Conventional signs of the basis of scale
i.Map ki scale ke anusar:kuchh jamini nishan map ke usi scale ke anusar banate hai jis scale me map hai jaise village, city,river,dam etc.
ii.Map ke scale se bada banake: Kuchh nishan jo ki bahu t hi chhote akar ke hote hai unhe bada kar ke bdikhaya jata
Conventional signs ka size: aam taur pe conventional signs 4 x 4 millimeter hota hai . Kuchh conventional sign 2 millimeter chaurai se dikhaye jate hai jo ki lambe rukh me hote hai jaise Road, nahar aadi, inki lambai nischit nahi hoti hai .
6.Military symbol:Military symbol char prakar ke hote hai:
1.Troops se sambandhit
2.Arms sambandhit
3.Saman sambandhit
4.Field fortification sambandhithai 

No comments:

Post a Comment