google-site-verification=ThKpPjR5hAeMioc7U1QBiXUw-YYthPgkjQ5Ig3h-nmM

Pages

Saturday, December 26, 2020

Topographical form-Hill kya hota hai

 Phichhle blog post me hmne gradient ke bare me jankari prapt ki aur ab is blog post me hum topographical forms jaise hill, mountain, conical hill ya peak ke bare me jankari prapt karenge ! yh  topographica form ka pahla  post hai baki ke tipographical forms ke bare me mai aage ke blog post me cover karunga.

Is blog post ko padhne ke bad aap topographical form(dharataliya aakrito) ke nimnlikhit form ke bare me jpuri jankari prapt kar lenge :

  1. Topographical form kya hota hai?  
  2. Hill Kya hota hai, aur use map per kaise dikhaya jata hai?
  3. Mountain kya hota hai aur use map per kaise dikhaya jata hai?
  4. Conical Hill kise kahate Hain aur use map per kaise dikhaya jata hai?
  5. Peak Kise kahate Hain aur use map per kaise dikhaya jata hai?
1. Topographical form:-map Reading ki sikhlai me vah chijen topographical forms kahlati  hai Jin se a unki jameen ki banawat ka sahaj anuman ho jata hai.


2. Hil kya hota hai :-Hill jameen ke us uthe hue bhag ko hill yah pahadi kahate Hain jis ki unchai samudra tal se 3000 feet se kam ho. 

3. Mountain kya hota hai :-mountain jameen ka vah uncha utha vah bhag jis ki uchai samudra tal se 3000 kide se adhik Ho use mountain ya parvat karte Hain. 


4.Conical hill kya hota hai aur use map kaise dikhaya jata hai:-conical pahadi ya hill usko kahte hai jiski sabhi aur ki dhalan ek jaisi Ho ho uski shakal niche se golkar hoti hai isko iwali contour  line map per bhi golakar hoti hai aur aakhir mein sabse uncha sthan per Bindu ki shakal mein badal jaati hai. Conical Hill aam taur par jwalamukhi wale deshon mein Pai jaati hai. map ke upar se bhure rang ke control line se is prakar se dikhaya jata hai.


5. Peak ya choti kya hota hai aur use map par kaise dikhaya jata hai :-kisi pahadi yah parvat ki sabse unchi jagah ko choti karte hain. Map par choti ki unchai sthanik tribhujakar unchai se dikhai jaati hai map ke upar ise bhure rang ke control line se is prakar se dikhaya jata hai.

Iske sath hi topographical forms se sambandhit yh blog post samapt huwa ummid hai ki aapko yh post pasand aayega. baki ke topographical form ke bare me aage ke blog post me jankari diya jayega . agar ye blog bpost pasand aaye to please hamare facebook  aur youtube channel page ko like ttha subscribe kare ttha regular update pane ke lie is blog ko subscribe kare.