google-site-verification=ThKpPjR5hAeMioc7U1QBiXUw-YYthPgkjQ5Ig3h-nmM

Pages

Sunday, April 12, 2020

Gradient kya hota hai?


Jaise kisi bhi subject ke training ke dauran kuchh aise terms aate hai jo ki agar un terms ka sahi meaning nahi malum ho to ham us subject ki sahi tarike se adhayan nahi kar sakte hai same kahani map reading ke sath bhi hai iske andar bhi bahut se aise terms hai jinka meaning jane bina map reading ko sikhna sambhaw nahi hai. Isi lie is video  me hm map reading ke kuchh technical terms ka meaning janege. Aise to map reading me bahut se terms hai jinko janna ek video me sambhaw nahi hai islie part wise video hai





1.Gradient: Bhinno(Fractions) me dikhai gai dhalano ko gradient kahte hai athwa khade aur pade fasle ke anupat ko gradient kahte hai . Jaise 1/30 ka matlab hai 30 meter chalne ke bad khadi uchai 1 meter hogi.
2.Tangent: degree me batai gai dhlano ko tangent kahte hai.

3. Mean grid North: map par kai grid rekhye hone ki wajah se inki konatamak duri duri true North rekha se antar alag alag hota hai.  Nakshe ke lie iska madh maan (Mean) nikal lete hai jo mean grid north kahlata hai. Madhyamik scale ke maps me kyo ki kafi jyada bhubhag dikhaya jata hai is lie yh karwahi aur bhi aawashyak ho jati hai.

4. Base line: wah rekha jaha par khade hokar koi bhi sketch banaya  jata hai !

5. Fixed point: map par dusre jameeni chinho ki sahayata se gyat ki hui thik stithi ko sthapit chinh ya fixed point kahte hai



6. Rekha(Ray): wah rekha jo apni stithi ya jagah se dusre nishan tak  khinchi jati hai ya ek nishanKo dusre nishan se milati hai use rekha kahte hai

7. Ploting: Kisi bhumi par ke chinho ko map par nischit karna plotting kahlata hai.

8.Maridiean: wastwik utari dhurw(North pole se dakshini  dhurw (South Pole ko milane  wali rekha ko maridian kahte hai.

9. Master Map: jab ek map kisi khas uddeshy ya vishes jankari hetu mark karte hai jiski sahayata se dusre  maps ko durust ya mark kiya ja sake use master map kahte hai.

10. Master compass: yh was compas hota hai jiski apni truti ka yakin hone ke bad hum unki madd se dusre compass ki apni truti ka pata lagate hai.

No comments:

Post a Comment