google-site-verification=ThKpPjR5hAeMioc7U1QBiXUw-YYthPgkjQ5Ig3h-nmM

Pages

Sunday, April 12, 2020

Gradient kya hota hai?


Jaise kisi bhi subject ke training ke dauran kuchh aise terms aate hai jo ki agar un terms ka sahi meaning nahi malum ho to ham us subject ki sahi tarike se adhayan nahi kar sakte hai same kahani map reading ke sath bhi hai iske andar bhi bahut se aise terms hai jinka meaning jane bina map reading ko sikhna sambhaw nahi hai. Isi lie is video  me hm map reading ke kuchh technical terms ka meaning janege. Aise to map reading me bahut se terms hai jinko janna ek video me sambhaw nahi hai islie part wise video hai





1.Gradient: Bhinno(Fractions) me dikhai gai dhalano ko gradient kahte hai athwa khade aur pade fasle ke anupat ko gradient kahte hai . Jaise 1/30 ka matlab hai 30 meter chalne ke bad khadi uchai 1 meter hogi.
2.Tangent: degree me batai gai dhlano ko tangent kahte hai.

3. Mean grid North: map par kai grid rekhye hone ki wajah se inki konatamak duri duri true North rekha se antar alag alag hota hai.  Nakshe ke lie iska madh maan (Mean) nikal lete hai jo mean grid north kahlata hai. Madhyamik scale ke maps me kyo ki kafi jyada bhubhag dikhaya jata hai is lie yh karwahi aur bhi aawashyak ho jati hai.

4. Base line: wah rekha jaha par khade hokar koi bhi sketch banaya  jata hai !

5. Fixed point: map par dusre jameeni chinho ki sahayata se gyat ki hui thik stithi ko sthapit chinh ya fixed point kahte hai



6. Rekha(Ray): wah rekha jo apni stithi ya jagah se dusre nishan tak  khinchi jati hai ya ek nishanKo dusre nishan se milati hai use rekha kahte hai

7. Ploting: Kisi bhumi par ke chinho ko map par nischit karna plotting kahlata hai.

8.Maridiean: wastwik utari dhurw(North pole se dakshini  dhurw (South Pole ko milane  wali rekha ko maridian kahte hai.

9. Master Map: jab ek map kisi khas uddeshy ya vishes jankari hetu mark karte hai jiski sahayata se dusre  maps ko durust ya mark kiya ja sake use master map kahte hai.

10. Master compass: yh was compas hota hai jiski apni truti ka yakin hone ke bad hum unki madd se dusre compass ki apni truti ka pata lagate hai.

Thursday, April 2, 2020

Longitude kya hota hai?

Introduction:Jaise kisi bhi subject ke training ke dauran kuchh aise terms aate hai jo ki agar un terms ka sahi meaning nahi malum ho to ham us subject ki sahi tarike se adhayan nahi kar sakte hai same kahani map reading ke sath bhi hai iske andar bhi bahut se aise terms hai jinka meaning jane bina map reading ko sikhna sambhaw nahi hai. Isi lie is video  me hm map reading ke kuchh technical terms ka meaning janege. Aise to map reading me bahut se terms hai jinko janna ek video me sambhaw nahi hai islie part wise video hai:
FOllowing Terms will be cover in this video


1.Longitude: survey map par kale rang se khichi gai khadi rekhao ko longitude ya Deshantar Rekha kahte hai jo map par true north ko prakat karti hai. Inhe true north ki rekha bhi kahte hai 

2. Latitude: Survey map par kale rang ki khichi gai padi/horizental rekhaye  ko akshansh ya latitude rekha kahte hai.

3.Gratiticule: Survey maps par akshan aur deshantar rekhao ke bichhe jaal ko gratiticule kahte hai.

4. Isogonal: chhote scale ke maps ke pure ilake me magnetic variation  ek sman nahi hota hai . Atah in maps par jaha Jaha antar sman hota hai waha se hoti hui ek rekha khich jati hai jiseIsogonal kahte hai.

5.Re-section: map par apni jagah nishchit karne ki us vishi ko re-section kahte hai jisme map par hm do ya do se jyada jaane hue sthano se apni jagah ki or rekhaye khichte hai

6. Inter Section: kisi anjan sthan ki jagah ko malum karne ke lie jm map  par kinhi do ya teen Jane hue sthano se rekhaye khichte hai to is prakar anjan sthan ki jagah malum karne ki vidhi Ko inter section kahte hai.


7. Orientation: Orientation ka vyawharik arth plane table sketch ko jameenpar is prakar se rekhaye Hota hai ki jisse bnaye ja rahe sketch ka north jameen ki north ki or ishara kare.

8.Orienteering: map aur jameen ko ek rup karne ki vyawaharik vidhi ko orienteering kahte hai.Is vidhi se map ke skill me ruchi badhai ja sakti hai athwa nipunta prapt ki ja sakti hai.

9.Relief: Jameen ki uchai aur nichai ttha tuti futi jameen ityadi ko kisi model par hubhu dikhane ko relief kahte hai.

10.Contour: Survey maps par Brown range se khichi gai o rekhaye contour ya contour rekhaye kahlati hai jo smaundr satah se nischit uchai wale bhu bhag se gujrati hui apni apni Uchai ki rekhao me aakar milti hai. Inki madad se map par bhinn bhinn sthano ka samundr tal se uchai darshai jati hai.

11. Verical Line(Khada fasle ka antar): kinhi do ya do se adhik sthano  ki unchai ya contour laine ki unchai ke antar ko verical interval kahte hai. Isko relief ke madad se dikhaya jata hai

12. Horizental Equivalent: Kinhi do sthano ya nishano ke bich ki sidhi padi duri ko Horizental Equivalent Kahte hai. Isko map par service protector ya mathmatical formula se nikala jata hai.

13. Form line: sketchs par nischit uchai ke bad contour rekhao ke saman  khichi jane wali rekhaye form line kahlati hai. Ye rekhaye aadhe contour  rekhao ke saman hi khichi jati hai .

14.Datum lavel: kisi map ya sketch me dikhaye gaye jamini ilake ke
sabse nichle bhag ki samundr satah se unchai ko datum level kahte hai.